1 – 1 Minute ka amal: Rozana her namaz k baad 72 bar Yaa Baasitu parh ker dono haathon ko dam kar k chehre aur seene per pher ker dua Karen buhat barkat hogi inshallah
2- 2 minute ka amal: Rozana kissi bhi waqt 100 bar “Yaa Alahu Yaa Rahmaaanu Yaa Raheemu” parh k dua Karen
3- 3 minute ka amal: Rozana baad Namaz-e-Fajer 308 bar “Yaa Razzaku” parh ker dua Karen rizk mei inshallah buhat kushaadgi hogii
4- 4 minute ka amal: Rozana 4 rakat salate Chaasht zaroor parhen is ki beshumar barkaten hain
5- 5 minute ka amal: Rozana Subah k waqt Surah Yaseen parhen
6- 5 Minute ka amal: Rozana bad namaz-e-Maghrib surah Waqia parhen
7- 15 Minute ka amal: Baad Namaz-e-Isha 1414 bar “Yaa Wahaabuu” Parh ker dua Karen rozii mei behad barkat hogii inshallah beshumaar logon ko behad fayeda hua hai
8- 25 Minute ka amal: Rozana baad namaz-e-Isha 11 martaba Surah Muzammil parh ker dua Karen. Iski barket se bande ko betahaasha rizk ata hota hai
9- Har namaz k baad parhen: Yeh dua 12 bar parhen qarz se nijaat aur barkat-e-rizk k liye buhat fayedamand hai “Allahummak finii’ bihalalika an haraamika wa aghnini bifadlika amman siwak”
10- Kushaadgi rizk: Kushaadgi Rizk k liye “AllahusSamad” (Surah ikhlas ki doosri ayat) 1001 bar parhen aur parhne ki baad dua Karen barkat k saath saath ghinaaye qalbi bhi haasil hogi inshallah
11- Gyarhvien shareef: Gyarhvien shareef ki niyaz zaroor Karen Huzoor ghaus-e-Aazam k isaam-e-sawaab ki niiyat se tilawat, zikr-o-azkar Karen aur khana waghaira paka ker doston rishtedaron aur ghareebon ko khilwayen. Buhat barkaton ka baa’is hai
12- Barhvien shareef: Barhvien wale Aaqa Sallallahu alaihi wasallam ka sadqa hi dunia mei sab khaa rahe hain. Lihaza apne mohsin aaqa per kasrat se durood parhen milad shareef ki mehfil karwayen un mei shirkat Karen barkaten aur rehmaten dunia mei bhi khoob barsen gi aur inshallah aakhirat mei bhi
13- Ayat-e-Karima: Baad namaz-e-isha Ayat-e-karima “Laa’ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minazzalimiin” 200 bar parh ker dua Karen
14- Bismillah shareef: 786 bar “bismillahirrahmaaannirraneem” parh ker dua maangen husool-e-barkat-o-ghina k liye mujjarab hai
15- Faraakhi rizk: Faraakhi rizk k liye her namaz k baad dus dus bar Surah qadr parhen inshallah chand hi dinon mei faayeda hoga
16- Nemat mei ziyaadti: Nemat mei ziyadti k liye jo bhi nemat mile uska shuker ada Karen chahe 1 rupee hi kyun na ho foran Allah ka shuker ada Karen aur “AlhumdulillahirrabillAalamiin” kahen har waqt Allah ka shuker ada karne ki adat daalen
17- Buhat hi asaan amal: Hamesha khana khaane se pehle haath dholen aur “bismillahirrahmaaannirraneem” parh ker khana shuru Karen aur khaane k baad Allah ka shuker ada Karen rizk mei barkat hogi
18- Husool-e-ghina-o-raahat k liye: Rozana 100 bar “Laa’ilaha illallahul malikul haqqul mateen” parhne se zindagi mei logon ki mohtaji aur faqr-o-faqa se bache ga aur qaber mei is ko wehshat na hogi
19- Wazeefa: “Yaa Musabbibul Asbab” Rizk mei barkat, husool-e-rishta-o-rozgaar, Qarze se khulasi aur deegar mushkilaat se nijaat k liye buhat mujarrab hai baad namaz-e-Isha nange sar baghair chat aasman k neeche khare ho ker k sar per chat na ho 500 bar “Yaa Musabbibul Asbab” parh ker dua Karen. Aurten is baat ka ehtamam zaroor Karen k ghair mehram ki nazar na pare
20- Asaan Amal: Jab ghar mei daakhil hon to koi ghar mei ho ya na ho Assalam-0-alaiqum kahen phir yun kahen “Assalamo alaiqa Aiyuhannabiyuu warahmatullahi wabarkaatuhu” is k baad surah ikhlas parhen is per amal karne se behad-o-behisaab barkat hogii inshallah
21- Surah Kosar: Rozana 100 bar Sura kosar parhen inshallah rizk kaseer mile ga
22- Jumaa-tul-mubarak: Juma k din baad namaz-e-asar kissi se baat na Karen aur kibla roo bethe rahen aur sooraj ghurrob hone tak “Yaa Alahu Yaa Rahmaaanu Yaa Raheemu” parhte rahen aur jab sooraj doob jaye us waqt khoob girgiraa ker dua kar k maghrib ki namaz parhen aur rizk mei barkat hogi aur jo jayez dua Karen ge inshallah Qubool hogi
23- Zaberdust amal: Rozana 100 bar yeh kalmaat parhen “bismillahirrahmaaannirraneeme Walahaula walaqouvata illabillahil aliyil azeem” rizk mei barket ho, balaaoun se hifaazat rahe muhlik bimaariyon se mehfooz rahe shayaateen aur jinnaat waghaira se mehfooz rahe, dushman ki waaron se bacha rahe aur beshumar fawaayid haasil honge
24- barkaten aur rehmaten: rozana 200 bar surah ikhlas parh ker dua Karen barkaton aur rehmaton k saath dil mei noor barhe ga
25- buhat asaan: Fajr ki do sunnaten ghar mei parh ker masjid jayen aur do farz jamaat k saath parhen baa’is-o-khair-o-barkat hai
26- Surah Kahaf: jo koi Sura Kahaf ko likh ker aisi sheeshi mei jis ka moun tang ho daal ker ghar mei rakh le aman ho aur faqar-o-qarz se chhutkara mile aur logon ki mohtaaji na ho. Neez her jumma ko surah kahaf ki tilawat karma buhat fazaail-o-barkaat ka baa’is hai
27- Surah Fatiha: jo koi rozana Sura Fatiha 41 bar parhe rozi uski faraagh ho tangdasti door ho logon ki mohtaaji na rahe aur beshumar barkaat haasil hon


Amaal karne ki sharaait

1- Aqeedah sahi hona zaroori hai
2- Namaz aur deegar faraaiz ki pabandi zaroori hai chahe koi wazeefa aur amal karen ya na karen
3- Amal sahi talaffuz k saath parhen aur itni awaz se parhen k khud apne kaanon se sune dil hi dil mei na parhen namaz aur deegar wazaaif mei bhi yeh zaroori hai k itni awaz mei parhen k khud k kaano mei awaaz aaye
4- Amal parhne se kabal kissi aalime deen ko suna karapne talaffuz aur airaab check karaalen ho sakta hai aap k talaffuz sahi na hon ya kitaabat mei ghalti hogayi ho
5- Har amal se pehle aur baad 11 11 bar durood shareef zaroor parhen

apni duaon main is bandya ko yaad rakhya ga Feeamanillah

Make a Free Website with Yola.